Har baar dil se yeh paigaam aaye
Jubaan kholu to tera he naam aaye
Tum hi kyon bhaye dil ko kya malum
Jabaki nazroo ke saamne haseen tmaam aaye
Hamara har lamha chura liya aapne,
aankhon ko ik chand dikha diya aapne.
Hamein zindagi to di kisi aur ne,
par pyaar itna dekar jeena sikha diya aapne
Ek din hamare annsoon humse pooch baithe,
humey roz -roz kyon bulate ho,
Humne kaha hum yaad to unhe karte hain
tum kyon chale aate ho.
Ek ada aapke dil churane ki,
ek ada aapke dil me bus jane ki,
Chehra apka chand sa aur
ek zid hamari chand pane ki.
Dil to unke seene mein bhi machalta hoga..
husn bhi so-so rang badalta hoga..
Uthti hongi jab nagahein unki..
Khud "khuda" bhi gir-gir ke sambhalta hoga..
Dil ki basti bikhar gayi hoti,
ki rooh ke ye zakhm bhar gaye hote,
yeh zindagi to aap ki amaanat thi warna,
hum to kab ke mar gaye hote!
Dhoka diya tha jab tum ne mujhe,
Dil se main naraaz tha,
Phir socha ki dil se tumhe nikal dun,
Magar woh kambakth dil bhi tumhare paas tha...
Chand jb nikly to tera gumaan hota hai,
Kis qadr dilfareb ye samaa hota hai,
Hum tari yaadoon mein khooyaa rehty hain,
Neend main Jab sara Jahaan hota hai.
bhigi aankho se muskurane me maja aur hai,
haste-haste palke bhigane me maza aur hai,
baat keh ke to har koi samajh le..
khamoshi ko koi samjhe to maja aur hai