Kadam kadam pe baharon ne saath chhoda,
zaroorat padne par yaaron ne saath chhoda,
vaada kiya sitaron ne saath dene ka,
subah hone par sitaron ne bhi saath chhoda.
Kabar ki mitti utha ke le gaya koi,
isi bahane humein choo kar chala gaya koi,
tanhayi aur andhere mein khush they hum,
lekin phir se intezaar karne ki wajah de gaya koi..
Juban hi sirf ek jariya nahi
jo aap shabdo ko samajh payenge
kabhi ankhon me jhankakar dekhiye
hazaro alfaz khud-b-khud bikhar jayenge
Jeena chahte hain magar zindagi raas nahi aati,
Marna chahte hain magar maut paas nahi aati,
Bahut udas hain hum is zindagi se,
Unki yaadein bhi to tadpane se baaz nahi aati.
Jaane kya mujhse zamana chahta hai
Mera dil todkar mujhe hasana chahta hai
Jaane kya baat jhalakti hai mere chehre se
Har shaks mujhe aazmana chahta hai
Is se pehle ki dilo me nafrat jaage,
aao ek shaam mohabbat me bita di jaye....
Karke kuch mohabbat ki baatein,
Is shaam ki masti badha di jaye
Is kadar hum yaar ko manane nikle,
uski chahat ke hum deewane nikle,
jab bhi use dil ka haal batana chaha,
to uske hothon se waqt na hone ke bahane nikle...
Hume Hasne-Hasane ki aadat hai,
Nazron se Nazar Milane ki aadat hai,
Par hamari to nazar unse hai ja mili,
Jinhe nazar Zhukake Sharmane ki Aadat hai.
Honth keh nahi sakte jo fasana dil ka,
Shayad nazar se woh baat ho jaye.
Is umeed mein karte hain intezaar raat ka,
ke shayad sapne mein mulaqat ho jaye.