Yaadon ki parchayee mein ab to aaye tera hi cehra
Tu abhi tak iss baat se hai anjaan main hoon deewana tera
Izhaar-e-mohabaat karne to bahot baar socha maine
Par har baar tere hi aks ne roka hai rastaa mera
Yaadon ki dhund me aapki parchai si lagti hai,
Kaanon me gunjti shahnai si lagti hai,
Aap karib ho to apnapan hai,
Warna seene me saanse bhi parai si lagti hai.
Woh ruthte rahe hum manate rahe,
Unki raahon me palkein bichate rahe,
Unhone kabhi palat ke bhi na dekha,
Hum ankh jhapkane se bhi katrate rahe.
Woh nadiyan nahi aansu they mere,
jinpar woh kashti chalate rahe.
Manzil mile unhein yeh chahat thi meri,
isliye hum aansu bahate rahe
Woh inkar karte hain ikrar ke liye,
Nafrat bhi karte hain to pyar ke liye,
Ulti chaal chalte hain yeh ishqwale,
Ankhein band karte hain didar ke liye.
Unki tasveer ko seene se laga lete hain,
iss tarah judai ka gham mitaa lete hain.
Kisi tarah zikar ho jaye unka,
to hass kar bheegi palkein jhuka lete hain
Tum mujhe kabhi dil kabhi aakhon se pukaro,
Ye hothon ke taqaluf to zamane ke liye hain.
Tujhe bhoolkar bhi na bhool payenge hum,
Bas yahi ek wada nibha payenge hum.
Mita denge khud ko bhi jahan se lekin,
Tera naam dil se na mita payenge hum..
Tere pyar mein umar bhar intezar kiya.
Tere pyar mein umar bhar intezar kiya.
Aur us intezar mein na jane kitno se pyar kiya