jindgi mea kai bar aisa waqt ayega
jab tumko chahnea wala hi tumko rulayeaga
magar vishwas rakhna
akele me wo tumsea kahin jyada aansu bahayega........
Muskura do zara khuda ke vaste,
sama-e-mahefil mai rosni kam hai,
tum hamare nahi to kya gum hai,
hum tumhare to hain ye kya kam hai
Khamoshiyan teri mujhse baatein karti hain,
meri har aah har dard samajhti hain.
Pata hai majbuur hai tu bhi aur main bhi,
phir bhi aankhein tere deedar ko tarasti hain.
Chehre pe ashko ki lakeer si ban gayi
Jo na chaaha tha vo takdeer si ban gayi
humne to chalaayi thi ret pe ungli
gaur se dekha to unki tasveer si ban gayi
Zuban khamosh, ankhon me nami hogi,
Yahi bas ek dastan-e-zindagi hogi,
Bharne ko to har zakham bhar jayega,
kaise bharegi wo jagah jaha Teri kami hogi.
Zindagi Sirf Mohabbat Nahin Kuch Aur Bhi Hai
Zulf-o-Rukhsaar ki Jannat Nahi Kuch Aur Bhi Hai
Bhookh Aur Pyaas ki Maari Hui Is Duniya Mein
Ishq Hi Ek Haqeeqat Nahin Kuch Aur Bhi Hai.
Zarurat hi nai alfaaz ki,
pyaar to cheez hai bas ehsaas ki,
paas hote to manzar hi kya hota,
dur se hi khabar hai hume aapki har saans ki...
Yun mile ke Mulakaat Na Ho Saki,
Hont khulay Magar Koi Baat Na Ho Saki,
Meri Khamosh Nigahen Har Baat keh Gayi,
Aur Unko Shikayat Hai Ke Baat Na Ho Saki..
Ye pyari nigahein yaad rahengi,
milkar na milne ki ada yaad rahegi,
mumkin nahi ki main tumhe bhula dun,
aur umar bhar tumhe bhi meri yaad rahegi.