Dipak mai agar noor na hota, tanha dil majbur na hota. Hum khud aapse roj milne aate, agar aapka aashiyan itna door na hota.
Nazar andaz kaise kare aapko, Nazro me bithaya hai aapko, Yaad aane par roye bhi to kaise, Darte hai kahi Jhuki Palke chubh na jaaye aapko..!
Jhooti hansi hansne ki aadat ho gayi hai zindagi teri yaadon ki ibaadat ho gayi hai bas saans chal rahi hai is murde mein ab rooh to tere saath hi rukhsat ho gayi hai
Unn dino ki yaad ne aaj dilko phir rulaaya hei
Sur ke adhurepan ne, nagmo ne tumhe phir bulaaya hei
Tere jaane ke baad se dil mera khamoshi se dhadka
Khamosh mere dil ne, aaj kuch phir gun-gunaaya hei
Teri Yaadon ke Siva koi Lamha Guzaara Nahin,
ek pal Nahin jab Tumhe Mere Dil Ne Pukaara Nahin
Tere bin Youn Kat Rahi Dariya-e-Zindagi Mein,
Kashti Bhi Hai Maajhi bhi hai,Kinaara Nahin..
Maayus laute hain tere dar se, khuda thujhe maayusiyon se door rakhe,
mili hai bewafai wafa ke badle, khuda tujhe bewafaon se door rakhe.
Daag ansuon se dhoye hain,
Jab bhi tanha huye hain roye hain,
Dil mein kyon na uge yaad teri,
Dil mein tere hi khawab boye hain.
Apni chahton ko mat
chupao
Inhain zarort hai
barhany ki
Apny pyar ko mat
chupao
Isay zarorat hai batany ki
hum to dushman ko b pakeeza saza dete hai
haath utathe nahi nazron se gira dete hai