Beginnings are scary.
Endings are usually sad,
but its the middle
that counts the most.
Aub ham kisi ki mohhabat nahi,
sirf matam kharida karte hai,
aub hum kisi se pyar nahi sirf muhabat mitane ka hi souda karte hai
Ai mere humnashin chal kahin aur chal,
Is chaman mein ab apna guzaara nahin,
Baat hoti gulon tak to seh lete hum,
Ab to kaanton pe bhi haq hamara nahin.
agarche do kinaron ka sangam nhi hota,
magar ek sath chalna b koi kam nhi hota;
wo ankhain ek luta ghar hain jehan aansu nahi rehte,
wo dil ek pathar hai jis dil main kisi ka gham nahi hota,
Aaj yeh tanhai ka ehsaas kuch hadd se zyada hai,
tere sang na hone ka malaal kuch hadd se zyada hai.
phir bhi kaat rahe yeh jiye jane ki saza yehi sochkar,
shayad is zindagani mein mere gunaah kuch hadd se zyada hai.
Aagar mere yaad aye to ek Chand ko dekh lena
ye soch k nahi k kubsoorat hi kitna
ye soch kar k
hazaroon sitaron may tanha hai kitna
Woh ruthte rahe hum manate rahe,
Unki raahon me palkein bichate rahe,
Unhone kabhi palat ke bhi na dekha,
Hum ankh jhapkane se bhi katrate rahe.
dil gumsum .........zubaan khamosh
yeh aankhein num kyu hai....?
jab tujhe kabhi paya hi na tha
to aaj tujhe khone ka ghum kyu hai....??
Phir usi chand se rishta bana baithe,
Phir usi saadgi se fareb kha baithe,
Pathron se they taalukaat hamare,
Phir bhee sheeshe ka ghar bana baithe