Jaankar unko, hai is baat ko jaana humne,
kis kadar palate hain yeh khud ko dost kehne wale.
Hum ne jab kiya dard-e-dil ko baya, to sher ban gaya,
Logo ne suna wah wah kiya, dard aur badh gaya.
Mohobbat ki paak rooh mere shero me hai,
Ek likha gam kam karne ke liye to gam aur badh gaya.
Ho sakta hai uss ne anjaane me hume rula diya,
Uss ne duniya ke kehne pe hume bhula diya
Hum to waise bhi akele the,
Kya hua agar kissi ne ehsaas dila diya..
Har Dil Mein Dard Chupa Hota Hai
Bayan karne ka Andaz Juda Hota Hai
Kuch Log Ankhon Se Dard Baha Detay Hain
or kisi ki Hansi Mein Bhi Dard Chupa Hota Hai!
Dil Toota To Ek Aawaz Aayi,
Cheer Ke Dekha To Ek Cheez Nikal Aayi,
Socha Kya Hoga Is Khali Dil Me,
Lahu Se Dhokar Dheka To Aapki Tasveer Nazar Aayi
Dil pay chout lagi honto say aah nikli
Jis say mohabat ki wo be-wafa nikli
Dil Ki Dharkano Ko ik lamha saber nahi,
Shayd k us ko ab meri kader nahi,
Her safer mein mera kabhi hamsafer tha woh, Ab safer to hai mager wo hamsafer nahi..!
Dil ke chhalon ko koi shayari kahe, to dard nahi hota
Takleef to tab hoti hai, Jab log wah-wah karte hain
Apne hisse ki zindagi to hum kabke jee chuke,
Ab to sirf dhadkanon ka lihaj karte hain,
Kya karen is duniya walon ka,
Jo aakhari dhadkano pe bhi aitaraz karte hain.
Dariya wafaoo ka kabi rukta nahi,
Mohabat me insaan kabhi jukta nahi,
Hum chup hai kisi ki khushi ke liye,
aur wo sochte hai dil hamara dukhta nahi.